Sanju ki Magic Pencil aur AI
Chalo dosto aaj kuch bachpan ki yaadein taza karte aur AI ko samjhte hai
Namaskar doston,
Kya aapne bachpan mein Sanju ki magic pencil ki kahani suni thi?
Nhi?
Arey – ‘Shaka laka boom boom’
Chalo abhi suna deta hu.
To ek serial tha jis mein Sanju nam ka ladka tha. Uske Pitaji central govt ki job mein the aur isliye, Sanju ka school har do saal mein badal jata tha
Sanju ka koi bhi dost nhi tha aur har naye school mein log uski choti height ka majak udate the.
Ek din Sanju ki Maa ne usko bataya ki wo bhagwan se jo mangega wo usey mil jayega. Sanju ne us baat ko man kar bhagwan se ek aisa khilauna manga jiske sath wo khel bhi sake aur uske naye dost bhi ban jaye.
Kaha jata hai ki Agar aap kisi chiz ko pure vishwas ke sath mangte hai to wo puri jarur hoti hai..
Aur Sanju ki zindagi mein bhi bhi aisa huya.
Usey ek sapana aya ki, ghar ke pas wale peepal ke ped ke niche uska khilona rakha hua hai.
Agley din subah hote hi, Sanju ped ke niche pahucha.
Pehle to usey kuch nhi dikha
Fhir usey, ek pencil dikhayi di…
Sanju rone laga, usko lga shayad uska sapna bas ek sapna hi tha.
Fhir bhi usne pencil rakh li aur rote-rote ghar aa gya.
Us din wo school bina homework kiye pahucha aur English ki madam ne uski pitai laga di.
Sanju dobara rote-rote ghar aya aur so gya,
Raat ko usne apni copy uthayi aur jaise hi ‘Write an Essay on Bharat75 – 75 years of independence’ likha.
Ek chamatkar sa hua.
Uski magic pencil ne pura 250 words ka essay bus do minute mein khud se likh diya.
Sanju ke paon tale zameen khisak gyi.
Usne phir pencil se “chota bheem” ke bare mein kahani likne ko kha par kuch bhi nhi hua.
Sanju ne TV par chota bheem serial lagaya aur apni pencil ko chota beem ke bare mein bataya.
Aur jab usne ek bar apni pencil par hath fera aur se chota bheem ke bare mein pucha.
To Sanju ki magic pencil ne uski copy par chota bheem ka chitra bana diya aur 2 minute ke andar chota bheem ke bare mein bolkar bhi bataya.
Sanju ki khushiyo ka thikana nhi raha.
Usne apne sare favorite cartoons ke videos apni magic pencil ko dikhaye, storybook bhi dikhayi. Usey koi bhi interesting cartoon dilkhta to uspe apni magic pencil se us pr ek gola bna deta.
Aur uske bad jab wo pencil se kuch bhi puchta to pencil ko pure cartoon episode ki story hu-ba-hu yaad rehti.
Sanju ne pehle maths ke formulae, phir physics ki theorems sab par gola karke.. apna adha course magic pencil se cover kar liya.
Kai bar uski magic pencil sahi jawab nhi de pati thi, jb bhi usey sahi jawab milta to wo pencil par hath fer deta. Magic pencil ko bhi sanju se bhut lgav tha. Uske hath ferne par wo hamesha sahi jawab deti aur uski accuracy samay ke sath badh gyi.
Phir Sanju ki magic pencil ki wajah se uski ginti class ke smart kids mein hone lagi aur uske naye dost bhi ban gye.
Sathiyo to ye jo magic pencil thi ye asal mein ye hai ‘AI’ yani (Artificial Intelligence).
Science ka purpose hmari life ko asan bnana hai aur Computer Science matlb problem solving.
Sabse pehle aapne ek problem ko observe kiya jaise ki kisi flyover ko cross karne se pehle mobile app pe sahi raasta dekha jaye.
Aapne MapmyIndia - Mappls app mein koi bhi location dali aur aapko raste mein flyover milne par ek smart view mil gya jisse aapka safar aasan ho gya.
Aur is Mappls digital map mein India ke sare locations ka data sets yani information kai algorithms yani sets of instructions pe bna hua hai jo aapko smartly aapki manzil tak pahuchata hai.
Artificial Intelligence yani AI, computer science ka ek important part hai.
Chaliye AI se judi hui kuch aur batein:
AI – Yadi aapke paas Sanju ki magic pencil ho, jo apne aap se chizo ko samjh sakhe aur yaad rakh sake. Matlab apne artificial dimag se sochkar aapki problems ko solve kar sake.
Machine Learning – Ek machine kis trah se purane data ya information se seekh kar, hme us data se jude hue kisi bhi kaam ko karne mein madad kar sakta hai, YE AI ke ka ek part hai jo machine learning ke under aata hai.
– ab jante hai machine seekhti kaise hai?
- Teen tarah se:
a. Supervised Learning – yani apke paas pehle se kuch data tha aur is data se apne apni machine ko train kiya jaise sanju ki magic pencil ne cartoons ke video dekh kar unke mare me jana.
b. Unsupervised Learning – Matlab machine bina kisi labelled data sets ke bas algorithms yani (set of instructions) se patterns find karna seekh le, aur hmara kaam bna de.
c. Reinforced Learning – Jaise insan galti karke seekhta hai aise hi Reinforced learning mein aap machine ko train karte ho, jisme wo apni mistakes se seekh lekar better perform karti hai
Hallucinations – Dekhiye ab machine to machine hi hai, aur kai bar ye hmein galat jawab aur sujhav bhi deti hai, ise hallucinations bhi bolte hai
Sathiyo, AI hmare zindgi ko usi trah se badalne ja rahi hai jaise printing machine, steam engine aur aeroplanes ne hamara life badal di.
Top AI tools –
a. Search – Perplexity AI
b. Personal intelligence – Pi.ai
c. Design – Microsoft Designer, Simplified AI
Is newsletter ke jariye hmari yeh koshish hai AI aur Startups ke bare mein jyada se jyada logo tak apni baat pahuchane ki. Yadi aapko ye newsletter achha laga ho to please isey apne dosto mein jarur share karein aur subscribe karein.
Aap apna feedback aur recommendations humein startdream75@gmail.com par bhej sakte hai.
Ab agle saptah Friday ko milte hai, tab tak aap in char ai applications ka istemal kar behtar kaam kar sakte hai. Jai Hind, Jai Bharat. Dream On.
Saral aur Shandaar udhaharan AI aur Information Technology k upar 🙏🙂